Nushur Wahidi

gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
gunāhgār to rahmat ko muñh dikhā na sakā
jo be-gunāh thā vo bhī nazar milā na sakā
tarab hai sheva-e-rindān-e-āqibat-nā-shanās
jo gul na thā vo gulistāñ meñ muskurā na sakā
bahut ḳhafīf thī kaun-o-makāñ kī jalvagarī
mirī nigāh kā gosha bhī jagmagā na sakā
havāla-e-nigah-e-sharamgīñ huiiñ āḳhir
vo bijliyāñ jo kahīñ āsmāñ girā na sakā
badī.a-kār hai zehn-e-ḳhirad-pasand magar
tasavvurāt se tasvīr-e-ġham banā na sakā
ajab nahīñ ki gulistāñ meñ pā-ba-gil rah jaa.e
vo bad-nasīb jo ramz-e-ḳhirām pā na sakā
jiyā vo paak jo rakhtā thā ḳhār-e-pairāhan
jo gul ba-jaib thā dāman kabhī bachā na sakā
'nushūr' nāzukī-e-tab-e-sher kyā kahiye
jahāñ meñ rah ke zamāne ke naaz uThā na sakā
Top Urdushayar.com