Azeem Qureshi

bich dilon mein utra to hai

Azeem Qureshi

biich diloñ meñ utrā to hai
dard tirā albelā to hai
ruup tirā ai rāj-kumārī
jaise merī rachnā to hai
chāñd ko tum āvāz to de lo
ek musāfir tanhā to hai
srījan-hārā srījan-hārā
tujh bin bālak bilkā to hai
sirr-e-ālam kuchh kuchh ham ne
sochā to hai jaanā to hai
kitnī sub.heñ barham hoñgī
sho.ala imshab bhaḌkā to hai
kahne vaale kahtā jā tū
sunñe vaalā suntā to hai
muzd kabhī barbād na hogī
nazd-o-dūr ye charchā to hai
marg ko yuuñ be-nām na samjho
ek taḳhayyul ujlā to hai
sub.h-e-ishq akelī kab hai
shām-e-ġham kā pahrā to hai
maggham maggham pinhāñ pinhāñ
baat kā afsūñ gahrā to hai
ḳhvāb sahī gar naqsh-e-ālam
insāñ aatā jaatā to hai
khoj meñ us kī barsoñ phir ke
chāñd-nagar pahchānā to hai
raste baste baaġh meñ yaaro
marg kā har-dam khaTkā to hai
terā 'azīm' ai jān-e-ālam
'mīr' kī lai meñ gaatā to hai
Top Urdushayar.com