surūr-e-ishq kī mastī kahāñ hai sab ke liye
vo mujh meñ jazb huā aa ke ek shab ke liye
vo ek karb-e-hasīñ jo mujhe huā hai atā
na tere ruḳh ke liye hai na tere lab ke liye
kabhī to ulTe sar-e-ām vo naqāb apnī
taras rahe haiñ sabhī bāda-e-inab ke liye
tire visāl kī kab aarzū rahī dil ko
ki ham ne chāhā tujhe shauq-e-be-sabab ke liye
dil-e-hazīñ ki do-ālam nahīñ bahā jis kī
luTāyā maiñ ne ise terī ek chhab ke liye
vahī kiran jo sar-e-charḳh rah ga.ī tanhā
vo sog ban ga.ī tāroñ ke har tarab ke liye
'azīm' ishq-e-shah-e-do-sarā basā dil meñ
vahī ajam ke liye hai vahī arab ke liye