Nushur Wahidi

pairahan-e-rangin se shoala sa nikalta hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
pairāhan-e-rañgīñ se sho.ala sā nikaltā hai
ma.asūm hai kyā jaane dāman kahīñ jaltā hai
merī mizha-e-ġham par larzāñ hai haqīqat sī
un ke lab-e-la.alīñ par afsāna machaltā hai
achchhī hai rahe thoḌī ye jalva-tarāzī bhī
raqs-e-mah-o-anjum meñ dīvāna bahaltā hai
unvān-e-taraqqī hai ye tīra-fizā.ī bhī
kuchh gard bhī uThtī hai jab qāfila chaltā hai
hai shaam abhī kyā hai bahkī huī bāteñ haiñ
kuchh raat Dhale saaqī mai-ḳhāna sambhaltā hai
bas dekh chukī duniyā ye bazm-farozī bhī
rakkhā hai charāġh aisā bujhtā hai na jaltā hai
ik sehr-e-shabistāñ hai ye fann-e-jahāñ-rānī
duniyā hai ki sotī hai jaadū hai ki chaltā hai
aflās ke aañsū se tūfāñ bhī larazte haiñ
sho.aloñ kā jigar goyā shabnam se dahaltā hai
mutrib-ba-lab-e-la.alīñ sāqī-ba-mai-o-mīnā
is garmi-e-mahfil meñ īmān pighaltā hai
Top Urdushayar.com