ġham-e-jānāñ se rañgīñ aur koī ġham nahīñ hotā
ki is ke dard meñ ehsās-e-besh-o-kam nahīñ hotā
vo haiñ kam-zarf jin kā shor-e-nāla kam nahīñ hotā
chaman meñ phuul bhī to haiñ unheñ kyā ġham nahīñ hotā
kamāl-e-zabt-e-girya azmat-e-shān-e-mohabbat hai
chhalak jaa.e jo paimāna vo jām-e-jam nahīñ hotā
yahāñ tak dil ko aadat ho ga.ī hai be-qarārī kī
sukūn-e-zindagī meñ bhī taḌapnā kam nahīñ hotā
tumhārī yaad hī ke saath dhaḌkan baḌh ga.ī dil kī
tasavvur se mizāj-e-husn to barham nahīñ hotā
ḳhizāñ kī uljhaneñ gulchīñ kā khaTkā hai magar phir bhī
kalī kā baaġh meñ lutf-e-tabassum kam nahīñ hotā
kuchh aisī baat hai sayyād jo ham muskurāte haiñ
nahīñ to āshiyāñ luTne kā kis ko ġham nahīñ hotā
na jaane kyuuñ tumhāre ġham ko duniyā ġham samajhtī hai
masarrat se to is kā martaba kuchh kam nahīñ hotā
'figār' is gulshan-e-hastī kā ibrat-ḳhez aalam hai
ki shabnam ro rahī hai gul kā hañsnā kam nahīñ hotā