Figar Unnavi

tufan se bach ke daman-e-sahil mein rah gaya

Figar Unnavi

tūfāñ se bach ke dāman-e-sāhil meñ rah gayā
mushkil ke ba.ad aur bhī mushkil meñ rah gayā
ik shor thā jo gosha-e-mahfil meñ rah gayā
ik dard thā jo dil se uThā dil meñ rah gayā
ab vo nigāh-e-nāz huī mā.il-e-karam
jab koī mudda.ā na mire dil meñ rah gayā
manzil mire qarīb se ho kar guzar ga.ī
aur maiñ talāsh-e-jāda-e-manzil meñ rah gayā
manzil fanā-e-zauq-e-talab kā maqām thī
achchhā huā maiñ sarhad-e-manzil meñ rah gayā
allāh-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigāh-e-qais
ik naqsh ban ke parda-e-mahmil meñ rah gayā
naala to ḳhair nañg-e-ġham-e-ishq thā magar
naġhma bhī soz-o-sāz kī mahfil meñ rah gayā
saare hijāb-e-husn nigāhoñ se haT ga.e
ik aa.ina zarūr muqābil meñ rah gayā
mujh se ye pūchhtī haiñ mirī hichkiyāñ 'figār'
ab kitnā fāsla tirī manzil meñ rah gayā
Top Urdushayar.com