Figar Unnavi

chaman apne rang mein mast hai koi gham-gusar-e-digar nahin

Figar Unnavi

chaman apne rañg meñ mast hai koī ġham-gusār-e-digar nahīñ
ki hai shabnam ashk-fishāñ magar gul-e-tar ko koī ḳhabar nahīñ
ġham-e-zindagī kā ilaaj to kabhī maut se bhī na ho sakā
ye vo saḳht qaid-e-hayāt hai kisī tarah jis se mafar nahīñ
mire paas jo bhī thā luT gayā na vo maiñ rahā na vo dil rahā
kisī aur shai kā to zikr kyā ki ab aah meñ bhī asar nahīñ
ye tasavvurāt kī vus.ateñ ye taḳhaiyyulāt kī rif.ateñ
vahāñ jalve dekh rahā huuñ maiñ jahāñ iḳhtiyār-e-nazar nahīñ
tire husn kā ye kamāl hai ki ḳhud aap apnī misāl hai
vo jamāl hī to jamāl hai jo kisī kā aks-e-nazar nahīñ
jo haiñ be-amal vo haiñ bā-amal jo haiñ be-hunar vo haiñ bā-hunar
ajab inqilāb-e-zamāna hai kahīñ qadr-e-ahl-e-hunar nahīñ
mujhe ai 'figār' na mil sakā koī lamha sub.h-e-nashāt kā
mirī zindagī hai vo shām-e-ġham ki jo rūshanās-e-sahar nahīñ
Top Urdushayar.com