Figar Unnavi

kuchh kaam to aaya dil-e-nakaam hamara

Figar Unnavi

kuchh kaam to aayā dil-e-nākām hamārā
TuuTā hai to TuuTā hī sahī jaam hamārā
jitnā ise samjhā kiye begāna-e-tāsīr
itnā to na thā jazba-e-dil ḳhaam hamārā
ye kaun maqām aayā qadam uThte nahīñ haiñ
manzil pe Thaharnā to na thā kaam hamārā
ham jaise taḌapte haiñ taḌapte rahe din raat
kuchh kar na sakī gardish-e-ayyām hamārā
ye gardish-e-paimāna hai yā gardish-e-taqdīr
saaqī kisī sāġhar pe to ho naam hamārā
phūloñ kī hañsī bā.is-e-taḳhrīb-e-chaman hai
kāñToñ pe nahīñ hai koī ilzām hamārā
ham gardish-e-sāġhar ko nigāhoñ meñ liye haiñ
dekhe koī husn-e-talab-e-jām hamārā
āġhāz-e-mohabbat hī kā e.ajāz-e-karam hai
dil ho gayā begāna-e-anjām hamārā
andāz taḌapne kā judāgāna hai lekin
hai koī 'figār' aur bhī hamnām hamārā
Top Urdushayar.com