hāsil-e-zabt-e-fuġhāñ nākām hai
ab to ḳhāmoshī pe bhī ilzām hai
koī āvāz-e-shikast-e-jām hai
tauba tauba har taraf kohrām hai
ye bhī faiz-e-gardish-e-ayyām hai
sub.h hai apnī na apnī shaam hai
dil huā tark-o-talab se be-niyāz
ab yahāñ ārām hī ārām hai
bahr-e-tūfāñ-ḳhez kā sāhil kahāñ
ishq kā āġhāz be-anjām hai
rañj koī shai na koī shai ḳhushī
muḳhtalif ehsās kā ik naam hai
phir kisī ne aane kā va.ada kiyā
sub.h se phir intizār-e-shām hai
shā.eroñ meñ yuuñ to apnā bhī 'figār'
naam hai lekin barā.e naam hai