Figar Unnavi

jurat-e-ishq hawas-kar hui jati hai

Figar Unnavi

jur.at-e-ishq havas-kār huī jaatī hai
be-piye tauba gunahgār huī jaatī hai
dil hai afsurda to be-rañg hai har rañg-e-bahār
bū-e-gul bhī ḳhalish-e-ḳhār huī jaatī hai
bāvajūde-ki junūñ par haiñ ḳhirad ke pahre
phir bhī zanjīr kī jhankār huī jaatī hai
har nafas mauj-e-fanā tere thapeḌoñ ke tufail
kashti-e-umr-e-ravāñ paar huī jaatī hai
jo namāz aaj sar-e-dār adā kī maiñ ne
sajda-e-shukr kā me.aar huī jaatī hai
jitnī āsāniyāñ hotī haiñ farāham din raat
zindagī utnī hī dushvār huī jaatī hai
jab se dekhā hai kisī ke ruḳh-e-raushan ko 'figār'
aañkh har jalve se bezār huī jaatī hai
Top Urdushayar.com