Figar Unnavi

jafa-e-yar ko hum lutf-e-yar kahte hain

Figar Unnavi

jafā-e-yār ko ham lutf-e-yār kahte haiñ
ḳhizāñ ko apnī zabāñ meñ bahār kahte haiñ
vo ek sunte nahīñ ham hazār kahte haiñ
magar fasāna bahar-e'tibār kahte haiñ
zamāna qaid ko samjhe hue hai āzādī
kisī ke jabr ko ham iḳhtiyār kahte haiñ
qafas meñ rah ke mujhe ye bhī imtiyāz nahīñ
kise ḳhizāñ kise fasl-e-bahār kahte haiñ
nafas nafas jo payām-e-hayāt detī hai
usī nazar ko taġhāful-shi.ār kahte haiñ
tumhāre husn kī jis dil ko raushnī na mile
ham aise dil ko charāġh-e-mazār kahte haiñ
tirī nigāh-e-taġhāful se dil ne paayā hai
vo ek kaif jise intizār kahte haiñ
mohabbat aur mohabbat meñ ārzū-e-visāl
ham is bahār ko nañg-e-bahār kahte haiñ
ḳhadañg-e-nāz abhī hai tumhārī chuTkī meñ
na jaane log mujhe kyuuñ 'figār' kahte haiñ
Top Urdushayar.com