Figar Unnavi

aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi

Figar Unnavi

aarzū hasrat-e-nākām se aage na baḌhī
fikr andesha-e-anjām se aage na baḌhī
sū-e-manzil kabhī do gaam se aage na baḌhī
zindagī maut ke ilzām se aage na baḌhī
zulf-o-ruḳh ke sahar-o-shām se aage na baḌhī
āshiqī rahguzar-e-ām se aage na baḌhī
rah ga.ī rif.at-e-parvāz kī hasrat dil meñ
par-fishānī qafas-o-dām se aage na baḌhī
manzil-e-be-ḳhudī-e-shauq kī azmat ma.alūm
tishna-kāmoñ kī nazar jaam se aage na baḌhī
kitnī shāmeñ ga.iiñ aur kitne savere aa.e
nigah-e-muntazir ik shaam se aage na baḌhī
pākī-e-nafs kī azmat kā to kyā zikr 'figār'
zohd kī baat bhī ehrām se aage na baḌhī
Top Urdushayar.com