Figar Unnavi

sai-e-ghair-hasil ko muddaa nahin milta

Figar Unnavi

sa.ī-e-ġhair-hāsil ko mudda.ā nahīñ miltā
be-niyāz dil ban kar dekh kiyā nahīñ miltā
zindagī-e-rafta kā kuchh patā nahīñ miltā
ḳhāk-e-pā to miltī hai naqsh-e-pā nahīñ miltā
us kā aa.ina hai dil jā-ba-jā nahīñ miltā
dil meñ jab ho tārīkī phir ḳhudā nahīñ miltā
āmad-e-bahārāñ kā ik payām laane se
kyuuñ tirā dimāġh āḳhir ai sabā nahīñ miltā
ā.ina-ba-ā.īna ham ne dekh Daale dil
ek sā zamāne meñ dūsrā nahīñ miltā
jo tirī nigāhoñ se be-piye milā saaqī
laakh jaam pī kar bhī vo mazā nahīñ miltā
ḳhizr-e-rāh ne kitne mīr-e-kārvāñ luuTe
haa.e vo jo kahte haiñ rahnumā nahīñ miltā
us kī aur manzil hai merī aur manzil hai
shaiḳh se 'figār' apnā rāsta nahīñ miltā
Top Urdushayar.com