Figar Unnavi

tum harim-e-naz mein baiThe ho begane bane

Figar Unnavi

tum harīm-e-nāz meñ baiThe ho begāne bane
justujū meñ ahl-e-dil phirte haiñ dīvāne bane
sab ko saaqī ne nahīñ baḳhshā dil-e-dard-āshnā
jitne ahl-e-zarf the utne hī paimāne bane
jalva-e-husn aur soz-e-ishq donoñ ek haiñ
sham.a kī lau thartharāne hī se parvāne bane
mauj-e-tūfāñ-ḳhez uTh kar chhīn le sāhil kī aas
nāḳhudā ke aate aate kyā ḳhudā jaane bane
dam-ba-ḳhud hai tere aage e'tibār-e-aql-o-hosh
hosh vaale jab baḌhe had se to dīvāne bane
dekh le zāhid mirī raushan-zamīrī kī numūd
ek ā.īne se kitne ā.ina-ḳhāne bane
ai 'figār' afsāna-e-dair-o-haram kā zikr kyā
is haqīqat ke na jaane kitne afsāne bane
Top Urdushayar.com