Figar Unnavi

shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai

Figar Unnavi

shohrat-e-tarz-e-fuġhāñ aam huī jaatī hai
koshish-e-zabt bhī nākām huī jaatī hai
mast haiñ aur talab-e-jām huī jaatī hai
be-ḳhudī hosh kā paiġhām huī jaatī hai
muskurātā hai hasīñ parda-e-gulshan meñ koī
aur kalī muft meñ badnām huī jaatī hai
qaid meñ bhī hai asīroñ kā vahī josh-e-amal
mashq-e-parvāz tah-e-dām huī jaatī hai
toḌ kar dil nigah-e-mast na pher ai saaqī
bazm kī bazm hī be-jām huī jaatī hai
lab jo khole to gulistāñ meñ kalī kaun kahe
chup bhī rahtī hai to badnām huī jaatī hai
mujh ko le jā.egī manzil pe mirī sub.h-e-yaqīñ
laakh raste meñ mujhe shaam huī jaatī hai
nāvak-andāzī-e-jānāñ kā asar hai ki 'figār'
ek duniyā mirī hamnām huī jaatī hai
Top Urdushayar.com