chalā huuñ apnī manzil kī taraf to shādmāñ ho kar
kahīñ māyūsī-e-dil ho na rahzan pāsbāñ ho kar
hamārī dāstāñ ho kar tumhārī dāstāñ ho kar
kahāñ pahuñchī mohabbat kārvāñ-dar-kārvāñ ho kar
mire zauq-e-ubūdiyyat kī takmīl ai ma.āz-allāh
jabīñ in.ām-e-sajda de rahī hai āstāñ ho kar
ḳhud apne soz se jalnā to har ik sham.a ko aayā
vo parvāna jo ḳhākistar hai soz-e-digarāñ ho kar
kalī kā muskurānā kah rahā hai dāstāñ un kī
ḳhizāñ jab aa.ī ham-rāh-e-bahār-e-gulistāñ ho kar
hameñ ujḌe nasheman kī jab apne yaad aatī hai
qafas kī tīliyāñ jaltī haiñ shāḳh-e-āshiyāñ ho kar
'figār' āh-o-fuġhāñ se kam na thī azmat mire ġham kī
magar kuchh aur rutba baḌh gayā soz-e-nihāñ ho kar