chaman ko ḳhār-o-ḳhas-e-āshiyāñ se aar na ho
kahīñ guzishta bahāroñ kī yādgār na ho
chamak rahā hai añdhere meñ kārobār-e-hayāt
nazar nazar ho to jiinā bhī sāzgār na ho
ye zulf-o-ruḳh ye shab-o-roz ye bahār-o-ḳhizāñ
vo silsila hai ki qat-e-nazar bhī baar na ho
bahār kuchh jo milī rañg-o-bū se begāna
vo aa ga.e ki anāsir meñ intishār na ho
ye tār-o-pūd nizām-e-ḳhirad bikhar ke rahe
junūñ ba-qadr-e-tajallī jo hoshiyār na ho
ye Dar rahā huuñ maiñ takrār-e-mausam-e-gul se
miTā huā koī aalam phir āshkār na ho
ye aarzū hai ki ḳhush-fahmī-e-talab hai 'nushūr'
umiid kyā hai jo duniyā umīd-vār na ho