Nushur Wahidi

taghayyuraat ke aalam mein zindagani hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
taġhayyurāt ke aalam meñ zindagānī hai
shabāb faanī nazar faanī husn faanī hai
tamām ālam-e-hastī pe hukmarānī hai
mirā jahān hai jab tak mirī javānī hai
maiñ shaad huuñ to zamāne meñ shādmānī hai
sharāb laao ki aalam tamām faanī hai
tire ḳhayāl se hai masti-e-nazar merī
tirī nigāh se maiñ ne sharāb chhānī hai
tirā jamāl fasānoñ meñ rañg bhartā hai
tire shabāb se dilkash mirī kahānī hai
mirī hayāt meñ jab tū nahīñ to kuchh bhī nahīñ
tire baġhair bhī kyā ḳhāk-e-zindagānī hai
dil-e-fasurda meñ hotī hai zindagī paidā
'nushūr' jur.a-e-sahbā bhī zindagānī hai
Top Urdushayar.com