bhulātā huuñ magar ġham kī daraḳhshānī nahīñ jaatī
vo ā.īna muqābil hai ki hairānī nahīñ jaatī
nigāh-e-shauq se tā-der hairānī nahīñ jaatī
shabāb aayā to zālim shakl pahchānī nahīñ jaatī
tujhe dekhūñ ki tere iltifāt-e-narm ko samjhūñ
mohabbat bhī tire jalvoñ meñ pahchānī nahīñ jaatī
sahāb o sail dho sakte nahīñ gard-e-falākat ko
bahār aa.ī magar duniyā kī vīrānī nahīñ jaatī
kahāñ tak saath de saktī haiñ āñkheñ sozish-e-dil kā
bahut royā magar ġham kī girāñ-jānī nahīñ jaatī
javānī ko gunāhoñ se alag karnā nahīñ mumkin
ye vo mai hai jo fart-e-kaif se chhānī nahīñ jaatī
mohabbat tār-tār-e-pairahan kar apne kāñToñ se
ki in phūloñ se merī tañg-dāmānī nahīñ jaatī
'nushūr' is vaqt bhī duniyā asīr-e-mulak-o-daulat hai
abhī fikr o nazar tā-hadd-e-insānī nahīñ jaatī