zindagī kī har nafas meñ be-kalī tere baġhair
har ḳhushī lagtī hai dil ko ajnabī tere baġhair
fasl-e-gul ne laakh paidā kī fazā-e-pur-bahār
ġhuncha-e-dil par na aa.ī tāzgī tere baġhair
tishna-kāmī ko mirī sairāb karne ke liye
uThte uThte vo nazar bhī rah ga.ī tere baġhair
koī jalva koī manzar mujh ko bhātā hī nahīñ
chāñd kī sūrat bhī hai be-nūr sī tere baġhair
rah gayā āḳhir sukūñ-nā-āshnā ho kar 'mubīn'
āhaTeñ hone lagīñ haiñ dard kī tere baġhair