jashn barbād ḳhayāloñ kā manā luuñ to chalūñ
mizha-e-shauq ko ġham-sāz banā luuñ to chalūñ
merī hastī meñ simaT aa.e añdhere ġham ke
sham-e-ulfat kī tire ġham meñ jalā luuñ to chalūñ
dil-e-betāb Thahar ashk-e-tamannā ke tufail
bazm-e-furqat ko sar-e-shām sajā luuñ to chalūñ
kaif taarī hai bahut aaj tasavvur meñ tire
ab zarā hosh ke māhaul meñ aa luuñ to chalūñ
un kā dīdār mire bas kā abhī kaam nahīñ
apnī nazroñ se hijābāt uThā luuñ to chalūñ
abhī sailāb pe dariyā hai safīna-bardosh
maiñ kisī mauj kī āġhosh meñ aa luuñ to chalūñ
jalva-gar sāmne hai aaj 'mubīn' un kā jamāl
pyaas āñkhoñ kī zarā aur bujhā luuñ to chalūñ