tumhāre aane kā jab jab bhī ehtimām kiyā
to hasratoñ ne adab se mujhe salām kiyā
kahāñ kahāñ na nazar ne tumhārī kaam kiyā
utar ke dil meñ umīdoñ kā qatl-e-ām kiyā
ġhamoñ ke daur meñ hañs kar jo pī ga.e aañsū
to aane vaalī masarrat ne ehtirām kiyā
ye kis ne chun ke masarrat ke phuul dāman se
ġhamoñ kā bojh mirī zindagī ke naam kiyā
'mubīn' gulshan-e-hastī meñ aag bhaḌkī hai
junūn-e-shauq ne kyā ḳhuub apnā kaam kiyā