un kī derīna mulāqāt jo yaad aatī hai
chashm-e-tar sūrat-e-paimāna chhalak jaatī hai
dil meñ aate hī sar-e-shām tasavvur terā
raat saarī mirī āñkhoñ meñ guzar jaatī hai
ye junūñ hai ki mohabbat kī alāmat koī
terī sūrat mujhe har shai meñ nazar aatī hai
sāqiyā jis pe navāzish ho karam ho terā
us ke har jaam kī tāsīr badal jaatī hai
jab bhī palkoñ pe chamak jaate haiñ yādoñ ke charāġh
nabz kuchh der zamāne kī Thahar jaatī hai
ye bhī ik un kī nigāhoñ kā karishma hai 'mubīn'
zindagī ḳhvāb kī sūrat meñ nazar aatī hai