kaifiyat hī kaifiyat meñ ham kahāñ tak aa ga.e
be-ḳhudī vo thī ki un ke āstāñ tak aa ga.e
vaqt kī rau meñ bahe the jaane kis andāz meñ
ye ḳhabar bhī ho na paa.ī ham kahāñ tak aa ga.e
ḳhud sukūn-e-āgahī ne ruuh ko taskīn dī
ham bichhaḌ kar jab ġhubār-e-kārvāñ tak aa ga.e
sar-faroshān-e-vafā ko bhī na chhoḌā ishq ne
marhale saarī ḳhatā ke mehrbāñ tak aa ga.e
rāh-e-manzil kī jahāñ pahchānñā dushvār thī
zindagī tere qadam aise nishāñ tak aa ga.e
har qadam par ham ko duniyā roktī hī rah ga.ī
ek jazba thā jo tere āstāñ tak aa ga.e
milnā thā husn-e-bayāñ ko ek iz.hār-e-ḳhulūs
lafz-o-ma.anī ḳhud-baḳhud urdu zabāñ tak aa ga.e
dekhnā hai faisla mauj-e-havādis kā 'mubīn'
kashtī-e-dil le ke bahr-e-be-karāñ tak aa ga.e