Nushur Wahidi

yunhi Thahar Thahar ke main rota chala gaya

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
yūñhī Thahar Thahar ke maiñ rotā chalā gayā
motī sambhal sambhal ke pirotā chalā gayā
sāñchoñ meñ husn o nuur ke Dhaltā gayā shabāb
sar-tā-qadam shabāb hī hotā chalā gayā
dushman ne merī raah meñ kāñTe bichhā diye
aur maiñ uThā to phuul hī botā chalā gayā
har nafas-e-ārzū jo ba-unvān-e-hosh thā
jaise koī sharāb se dhotā chalā gayā
jhūlā jhulā rahī thī mujhe dil kī aarzū
sab jāgte the aur meñ sotā chalā gayā
ranj o malāl o kaif o nashāt o bahār-e-umr
jo kuchh mujhe milā use khotā chalā gayā
ġham kā ḳhamosh naġhma-e-dil-soz bhī 'nushūr'
ik kaif sā ragoñ meñ samotā chalā gayā
Top Urdushayar.com