baḌhā tanhā.ī meñ ehsās-e-ġham āhista āhista
hameñ yaad aa.e sab ahl-e-karam āhista āhista
dil-e-muztar kī betābī kā aalam kaisā aalam hai
khiñchā jaatā hai dil sū-e-sanam āhista āhista
chalā huuñ manzil-e-jānāñ maiñ kuchh aise ta.assur se
nazar sharminda sharminda qadam āhista āhista
nigāh-e-lutf kis kī ho ga.ī mere muqaddar par
ye kis kā ho gayā husn-e-karam āhista āhista
mohabbat karne kā ham ko sila achchhā milā ai dil
simaT aa.e mire dāman meñ ġham āhista āhista
haqīqat meñ agar pūchho bahārān-e-gulistāñ kā
chaman vāloñ ne toḌā hai bharam āhista āhista
kahāñ tak zabt karte bazm kī kotāh-bīnī ko
'mubīn' uThnā paḌā bā-chashm-e-nam āhista āhista