Nayyar Rani Shafaq

paiman wafa ke bandh ke jaane kidhar gaya

Nayyar Rani Shafaq

paimāñ vafā ke bāñdh ke jaane kidhar gayā
sahrā-e-hijr mere liye ban bhañvar gayā
merī nigāh-e-sharmagīñ jhuktī chalī ga.ī
us kā bhī shauq-e-mehr-o-vafā pur-asar gayā
ik shoḳh sī nigāh jo ruḳh pe jamī rahī
aariz pe ik hasīn sā ġhāza utar gayā
us kī kitāb-e-shauq kā saada varaq thī maiñ
merā bhī ishq dekh ke us ko sañvar gayā
manzil kī chāhatoñ meñ qadam raqs meñ rahe
be-kār umr-e-rā.egāñ kā ye safar gayā
chhāyā thā mehrbān sā bādal jo dhuup meñ
mauj-e-sabā jidhar ga.ī vo bhī udhar gayā
kuchh shaam se lipaT ke 'shafaq' yuuñ judā huī
lagtā thā ab ke haath se dil kā nagar gayā
Top Urdushayar.com