Ali Akbar Mansoor

hijr bana aazar safar kaise kaTta

Ali Akbar Mansoor

hijr banā āzār safar kaise kaTtā
ishq ke rog hazār safar kaise kaTtā
dhuup kā bojh saroñ par āḳhir aan girā
ḳhatm hue ashjār safar kaise kaTtā
kyā batlā.eñ apnī ḳhālī jholī meñ
sāñseñ thiiñ do-chār safar kaise kaTtā
dekhte dekhte nazroñ se ma.adūm hue
rastoñ ke āsār safar kaise kaTtā
pīchhe behis din ke ḳhauf thā aur aage
raat kī thī dīvār safar kaise kaTtā
apnā bojh uThā kar apne kāñdhoñ par
chalnā thā dushvār safar kaise kaTtā
āñkheñ thiiñ vīrān nazar kaise aatā
dil to thā bīmār safar kaise kaTtā
nañge paañv dhuup meñ chalte rahne kī
koshish thī bekār safar kaise kaTtā
kuchh to jazīre bīnā.ī se ojhal the
naav thī be-patvār safar kaise kaTtā
ik duuje ke sañg aḌī thiiñ sab kūñjeñ
TuuT ga.ī phir Daar safar kaise kaTtā
Top Urdushayar.com