Amit Ahad

jo ishq mein guzara lamha pasand aaya

Amit Ahad

Muzaffarabad, Pakistan

1981

jo ishq meñ guzāra lamha pasand aayā

āñkhoñ meñ bas gayā jo chehra pasand aayā

yuuñ to safar kiyā hai kitne rāstoñ par

lekin tire ghar rasta pasand aayā

merī nigāh meñ hai terī talāsh baaqī

merī dīvāngī ko sahrā pasand aayā

be-shak nibhā na paa.e va.ada kiyā jo tum ne

lekin sanam tumhārā va.ada pasand aayā

uThtī hai is liye bhī terī taraf nigāheñ

tere hasīn ruḳh par chashma pasand aayā

ġhusse meñ lag rahī ho tum aur ḳhūb-sūrat

dil ko bahut tumhārā naḳhra pasand aayā

kuchh aur dekhne hasrat rahī na baaqī

jab se sanam tumhārā chehra pasand aayā

ho jā.egī mukammal ab to ġhazal yaqīñ hai

tere hasīñ laboñ misra pasand aayā

be-shak bahut shikāyat tujh ko hai is jahāñ se

phir bhī 'ahad' ye terā lahja pasand aayā

Top Urdushayar.com