zindagī be-qarār kaun kare
ḳhvāhisheñ be-shumār kaun kare
chhoḌ kar kaam ye mohabbat kā
ḳhud ko be-rozgār kaun kare
jab vafā hī nahīñ zamāne meñ
ishq sar par savār kaun kare
maut aa.ī hai ziist ko lene
maut se ab udhār kaun kare
haal jab pūchhtā nahīñ koī
dard ko ishtihār kaun kare
tīrgī meñ adab kī duniyā hai
ab ye raushan dayār kaun kare
ḳhaar hī ḳhaar haiñ 'ahad' jis par
raah vo iḳhtiyār kaun kare