Amit Ahad

KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai

Amit Ahad

Muzaffarabad, Pakistan

1981
ḳhudā kī kaun sī hai raah behtar jāntā hai
maza hai nekiyoñ meñ kyā qalandar jāntā hai
bahut hamdard haiñ mere magar anjān haiñ sab
mire zaḳhmoñ kī hālat ko rafūgar jāntā hai
kisī se maiñ nahīñ kahtā magar merī ġharībī
mirī dīvāroñ kā ukhḌā plastar jāntā hai
kabhī mandir kabhī masjid pe hai is kā baserā
dharam insāniyat kā bas kabūtar jāntā hai
sanam terī judā.ī meñ kaTā hai vaqt mushkil
gine din hijr meñ kitne calendar jāntā hai
kahīñ bhar peT roTī to kahīñ se haath ḳhālī
kisī kī kaisī hai niyyat gadāgar jāntā hai
maiñ pyāsā rah ke bhī minnat nahīñ kartā kisī kī
bahut ḳhuddār huuñ maiñ ye samundar jāntā hai
kisī bhī vaqt ye mazlūm kar deñge baġhāvat
sitam kī ho chukī hai had sitamgar jāntā hai
raheñ arthī se bāhar haath us kā qaul hai ye
na kuchh bhī saath jā.egā sikandar jāntā hai
tumhārī yaad meñ rāteñ kaTī haiñ mushkiloñ se
rahā huuñ kitnā maiñ bechain bistar jāntā hai
na hogā dūsrā paidā jahāñ meñ koī gāñdhī
bahut achchhī tarah se porbandar jāntā hai
yahāñ hai bhiiḌ meñ bhī kis qadar har shaḳhs tanhā
tumhāre shahr kā har ek manzar jāntā hai
'ahad' jiine ko to sab jī rahe haiñ is jahāñ meñ
magar is ziist kā matlab suḳhnavar jāntā hai
Top Urdushayar.com