Mazhar Husain Sayed

ye sochte hue bazar se nikal aaya

Mazhar Husain Sayed

Haripur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
ye sochte hue bāzār se nikal aayā
na jaane aadmī kyuuñ ġhaar se nikal aayā
ḳhabar nahīñ hai ki phir bādshāh pe kyā guzrī
ġhazal sunā ke maiñ darbār se nikal aayā
sabhī khaḌe the khulegā abhī dar-e-zindāñ
maiñ jald-bāzī meñ dīvār se nikal aayā
ḳhabar ġhalat hai maiñ ye baat kahne vaalā thā
ki ik revolver aḳhbār se nikal aayā
suḳhan ko na.ara qalam ko alam banāte hue
sukūt-e-hujra-e-fankār se nikal aayā
ajab nahīñ hai ki bāzār ko bahā le jaa.e
jo ashk chashm-e-ḳharīdār se nikal aayā
Top Urdushayar.com