khul ke sachchā.ī kā iz.hār nahīñ kar sakte
ham jo karte haiñ vo aḳhbār nahīñ kar sakte
zindagī terā taqāzā hai ki sarpaT dauḌeñ
ham vo lāchār ki inkār nahīñ kar sakte
un ko haq hai ki vo inkār bhī kar sakte haiñ
ham pe qadġhan hai ki isrār nahīñ kar sakte
sab ke sab mil ke mire sāmne saf-ārā haiñ
kaam aisā hai ki do-chār nahīñ kar sakte
tujh se ik kaam hai aur kaam bhī aisā hai ki jo
chashm-o-abrū lab-o-ruḳhsār nahīñ kar sakte
ham ne ik umr kyā un pe bharosā 'maz.har'
ham vahī kaam lagātār nahīñ kar sakte