shajar kalām kareñ shahr bhī nayā ho jaa.e
maiñ ek ism paḌhūñ aur mo.ajiza ho jaa.e
ye log fart-e-tahayyur se mar bhī sakte haiñ
agar ye ḳhvāb haqīqat meñ rūnumā ho jaa.e
gale milo ki salāmat haiñ aaj ham donoñ
kise ḳhabar ki yahāñ kaun kab judā ho jaa.e
ye barmalā jo maiñ iqbāl-e-ishq kartā huuñ
ajab nahīñ ki mujhe ishq meñ sazā ho jaa.e
ye dil qayām pe maa.il hai in dinoñ varna
asā uThā.ūñ to dariyā bhī rāsta ho jaa.e