nadī ne giit bhī gaayā nahīñ hai
qabīla lauT kar aayā nahīñ hai
azal se ye rivāyat hai hamārī
uThāyā hai sitam Dhāyā nahīñ hai
maze kī baat hai dil nā-samajh hai
aur us ko maiñ ne samjhāyā nahīñ hai
ġham-e-duniyā muāfī chāhtā huuñ
ye dil us ko bhulā paayā nahīñ hai
mujhe tum ġhaur se dekho ye maiñ huuñ
tumhāre jism kā saayā nahīñ hai
isī par mutma.in baiThe hue haiñ
ki ab insān chaupāya nahīñ hai
adū kī niiñd uḌā rakhī hai 'maz.har'
abhī tak ḳhvāb dafnāyā nahīñ hai