lafzoñ kā ambār lagāyā
lekin baat nahīñ kah paayā
mujh ko to is baat kā dukh hai
us ne bhī mujh ko samjhāyā
aur ham se kyā uTh saktā thā
ham ne nukta ek uThāyā
tūfāñ aa.e bārish aa.ī
dariyā bhī mere ghar aayā
'maz.har' us kī niiñd uḌā dī
ham ne jis ko ḳhvāb dikhāyā