sulagtī ret ko dariyā nahīñ kahā maiñ ne
ġhazal kahī hai qasīda nahīñ kahā maiñ ne
huzūr mohtaram izzat-ma.āb ālī-janāb
ye saarā jhuuT hai aisā nahīñ kahā maiñ ne
jo bevafā thā usī kī taraf ishāra kiyā
kināyatan ise duniyā nahīñ kahā maiñ ne
jo hū-ba-hū tirī tasvīr ban ke aa jaa.e
jo sach kahūñ to kuchh aisā nahīñ kahā maiñ ne
chaḌhā.e us pe nahīñ maiñ ne san.atoñ ke ġhilāf
ki sach ko sher meñ bāñdhā nahīñ kahā maiñ ne
jo kahnā chāhtā huuñ vo abhī kahā hī nahīñ
vagarna kahne ko kyā kyā nahīñ kahā maiñ ne