faizān-e-mohabbat na huā aam abhī tak
tārīk hai insān kā anjām abhī tak
maiḳhāne meñ hai tishna-labī aam abhī tak
gardish meñ mohabbat ke nahīñ jaam abhī tak
chhīnā hai sukūñ dahr kā arbāb-e-ḳhirad ne
haiñ ahl-e-junūñ morid-e-ilzām abhī tak
vāmāñda-e-manzil hai jo ai rāh-rav-e-shauq
shāyad hai tirā zauq-e-talab ḳhaam abhī tak
is duar-e-sukūñ soz-o-pur-āshob meñ ai dost
māyūs nahīñ hai dil-e-nākām abhī tak
ruḳhsat huā go daur-e-ḳhizāñ fasl-e-gul aa.ī
gulshan ke vahī haiñ sahar-o-shām abhī tak
pahūñchā to bashar rif.at-e-mirriḳh-o-qamar par
qaabū meñ nahīñ gardish-e-ayyām abhī tak
duniyā ne jise rif.at-e-fārāñ se sunā thā
hai amn kā zāmin vahī paiġhām abhī tak
go tābish-e-anvār se ḳhīra haiñ nigāheñ
hai sub.h ke ruḳh par asar-e-shām abhī tak
nādim to haiñ vo qatl pe arbāb-e-vafā ke
lekin sar-e-fihrist haiñ kuchh naam abhī tak
saaqī tire maiḳhāne kī tanzīm-e-ġhalat par
sunte haiñ ki rindoñ meñ hai kohrām abhī tak
dhabba nahīñ go dāman-e-tahzīb pe lekin
milte haiñ yahāñ banda-e-be-dām abhī tak
muddat huī kuchh rabt nahīñ sher-o-suḳhan se
hotā hai mire qalb ko ilhām abhī tak
is par bhī nigāh-e-karam ai fātir-e-hastī
'zauqī' hai rahīn-e-ġham-o-ālām abhī tak