Muhammad Ayyub Zauqi

dur rah kar watan ki faza se jab bhi ahbab ki yaad aai

Muhammad Ayyub Zauqi

duur rah kar vatan kī fazā se jab bhī ahbāb kī yaad aa.ī
hijr meñ rah gayā dil taḌap kar aañkh fart-e-alam se bhar aa.ī
gulshan-e-hasrat-o-ārzū kī jab kalī koī khulne pe aa.ī
bād-e-sarsar ne maare tamāñche is ḳhatā par ki kyuuñ muskurā.ī
ahl-e-zar se ye uns-o-mohabbat be-zaroñ se ye andāz-e-nafrat
khul gayā aap kā zohd-o-taqvā dekh lī aap kī pārsā.ī
vo tasanno.a hai aḳhlāq kyā hai vo numā.ish hai iḳhlās kab hai
vo mohabbat nahīñ hai riyā hai ho na jab tak diloñ meñ safā.ī
un kā anjām hai sar-bulandī jin ke dil meñ nahīñ ḳhud-pasandī
jin ko mahbūb hai ḳhāksārī un ko aatī nahīñ ḳhud-satā.ī
dil hai insān kā ābgīna is ke jalvoñ kā hai ye ḳhazīna
baiThne deñ na gard-e-kudūrat ābgīne kī rakkhe safā.ī
roz-e-mahshar kī vo jāñ-gudāzī had na hogī sarāsīmgī kī
kaam aa.egī us din yaqīnan āsiyoñ ke liye mustafā.ī
terī rahmat kā dil ko yaqīñ hai is meñ mujh ko koī shak nahīñ hai
hogī maqbūl ik roz yārab tere dar kī mirī jubba-sā.ī
daur-daura hai kizb-o-riyā kā hai diloñ se ḳhulūs aaj anqā
dekhiye ab kahāñ jā rahī hai apne markaz se haT kar ḳhudā.ī
kyā ab insāniyat mar chukī hai bad-zanī dil meñ ghar kar chukī hai
kuchh samajh meñ nahīñ aa rahā hai kyuuñ hai bad-ḳhvāh bhaa.ī kā bhaa.ī
aadmī kī ye kaisī ravish hai dil meñ is ke ye kaisī ḳhalish hai
ġhair se qurbat-e-dostāna aur apnoñ se be-e'tinā.ī
ḳhidmat-e-ḳhalq meñ din guzāreñ zindagī is tarah se sañvāreñ
āqibat meñ mile surḳh-rūī aur yahāñ bhī na ho jag-hañsā.ī
sab se behtar hai sabr-o-qanā.at ruuh ko is se miltī hai rāhat
lā na harf-e-shikāyat zabāñ par sun na 'zauqī' kisī kī burā.ī
Top Urdushayar.com