Muhammad Ayyub Zauqi

hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain

Muhammad Ayyub Zauqi

ham hijr kī kaalī rātoñ meñ jab bistar-e-ḳhvāb pe jaate haiñ
maazī ke tamām masā.ib ik ik kar ke sāmne aate haiñ
phir mustaqbil ke bhayānak chehre par jab nazreñ paḌtī haiñ
is haibatnāk tasavvur se ham Darte haiñ ghabrāte haiñ
ġhairoñ se vo milte rahte haiñ ḳhud jā jā kar tanhā.ī meñ
merā kyā hai zikr bhalā mire saa.e se bhī sharmāte haiñ
mujh meñ aur mere raqīboñ meñ hai farq bas itnā thoḌā sā
un ko sūrat dikhlāte haiñ mujh ko āñkheñ dikhlāte haiñ
shāyad is kal se murād huā kartī hai qayāmat kī duurī
'zauqī' se vo apne jab bhī kabhī kal kā va.ada farmāte haiñ
Top Urdushayar.com