vo naam zahr kā rakh deñ davā to kyā hogā
kaheñ jo ḳhuun ko rañg-e-hinā to kyā hogā
chaman kī samt chalā to hai kārvān-e-bahār
jo rāhzan hī hue rahnumā to kyā hogā
harīf-e-sail-e-havādis to hai safīna-e-qaum
jo nazr-e-mauj huā nā-ḳhudā to kyā hogā
taras rahā hai zamāna sukūn-e-dil ke liye
sukūn-e-dil na mayassar huā to kyā hogā
chaman ke ishq meñ ahl-e-vafā ye bhuul ga.e
badal ga.ī jo chaman kī fazā to kyā hogā
guzar rahī haiñ nigāheñ had-e-tajassus se
milā na koī jo dard-āshnā to kyā hogā
hamārā ḳhuun thā shādābī-e-chaman kā sabab
jo ye chaman ke na kaam aa sakā to kyā hogā
ġham-e-hayāt se yuuñ to haiñ ashk-bār āñkheñ
nazar se ḳhuun Tapakne lagā to kyā hogā
bayāñ karūñ to sahī un kī dāstān-e-sitam
vo ho ga.e use san kar ḳhafā to kyā hogā
bas ik nigāh-e-karam tak hai zindagī kā nashāt
jo ye bhī TuuT gayā aasrā to kyā hogā
abhī hai mohlat-e-husn-e-amal uTho 'zauqī'
javāb dene lage dast-o-pā to kyā hogā