ajab be-kaif hai rātoñ kī tanhā.ī ka.ī din se
kisī kī yaad bhī dil meñ nahīñ aa.ī ka.ī din se
bahut maġhmūm hai shān-e-masīhā.ī ka.ī din se
baḌhī jaatī hai zaḳhm-e-dil kī gahrā.ī ka.ī din se
kalī ne bhī uḌāyā thā mazāq-e-girya-e-shabnam
paḌī hai ḳhaak par ḳhushk aur murjhā.ī ka.ī din se
churā laa.ī hai shāyad nik.hat-e-gul sehn-e-gulshan se
nasīm-e-sub.h kyuuñ phirtī hai ghabrā.ī ka.ī din se
ḳhudā jaane ye ab kyā ho gayā ham bad-nasīboñ ko
ki tere ġham kī lazzat bhī na raas aa.ī ka.ī din se
idhar bhī ik nazar ai mālik-e-vīrāna-o-gulshan
tire kūche meñ phirtā hai ye saudā.ī ka.ī din se
shahīd-e-ishq kī ye maut hai yā zindagī yārab
nahīñ ma.alūm kyuuñ bajtī hai shahnā.ī ka.ī din se
qayāmat se nahīñ kam furqat-e-ahbāb kā ġham bhī
dil-e-muztar ko rotī hai shakebā.ī ka.ī din se
nazar meñ tishnagī lab par duā.eñ dil meñ ummīdeñ
haram ke gard phirtā hai tamannā.ī ka.ī din se
dil-e-bīmār se kyā kah diyā un kī nigāhoñ ne
kuchh ab mahsūs hotī hai tavānā.ī ka.ī din se
kisī ahl-e-nazar kī phir unheñ shāyad zarūrat hai
ki phir betāb hai shauq-e-ḳhud-ārā.ī ka.ī din se
suneñ arbāb-e-mahfil gosh-e-dil se dil kī āvāzeñ
ki 'zauqī' kar rahā hai naġhma-pairā.ī ka.ī din se