junūñ meñ mashq-e-tasavvur baḌhā rahā huuñ maiñ
vo paas aa.e to ab duur jā rahā huuñ maiñ
fazā-e-gulshan-e-hastī pe chhā rahā huuñ maiñ
tire karam kā karishma dikhā rahā huuñ maiñ
vo chaar tinke jinheñ barq bhī jalā na sake
inhīñ se apnā nasheman banā rahā huuñ maiñ
hai aadmī kā muqaddar ḳhud us ke hāthoñ meñ
kuchh is fareb meñ bhī mubtalā rahā huuñ maiñ
ubhar rahe haiñ fasāne haqīqateñ ban kar
haqīqatoñ ko fasāne banā rahā huuñ maiñ
kuchh aur qissa-e-dār-o-rasan sunā vaa.iz
ki is ḳhayāl se taskīn pā rahā huuñ maiñ
vo ik nazar ki jise jān-e-mudda.ā kahiye
usī nazar ko tirī DhūñDhtā rahā huuñ maiñ
nahīñ huuñ maslahat-andesh haq-bayānī meñ
yahī hai jurm sazā jis kī pā rahā huuñ maiñ
samajh chukā huuñ haqīqat hayāt-e-fānī kī
vufūr-e-ġham meñ bhī ab muskurā rahā huuñ maiñ
kamāl-e-faiz-e-mohabbat nahīñ to phir kyā hai
ki zarre zarre meñ ab un ko pā rahā huuñ maiñ
unheñ ba-īñ ḳhirad-o-hosh pā sakā na kabhī
matā-e-hosh-o-ḳhirad kho ke pā rahā huuñ maiñ
rah-e-majāz-o-haqīqat ke moḌ par 'zauqī'
khaḌā huā huuñ magar laḌkhaḌā rahā huuñ maiñ