Muhammad Ayyub Zauqi

wo namaz-e-ishq hi kya jo salam tak na pahunche

Muhammad Ayyub Zauqi

vo namāz-e-ishq hī kyā jo salām tak na pahuñche
ki qu.uud se jo guzre to qayām tak na pahuñche
vo hayāt kyā ki jis meñ na ḳhushī ke saath ġham ho
vo sahar bhī kyā sahar hai ki jo shaam tak na pahuñche
tire mai-kade kā saaqī ye chalan bhī kyā chalan hai
ki jo haath tishna-kāmoñ ke bhī jaam tak na pahuñche
marī nā-murādiyoñ kī yahī intihā hai shāyad
tirī bārgāh-e-ālī meñ salām tak na pahuñche
use apnī bad-nasībī na kaheñ to phir kaheñ kyā
ki hazār koshishoñ par rah-e-ām tak na pahuñche
ye muḳhāsamat ke jazbe ye mahāz hāsidoñ ke
magar umr bhar vo 'zauqī' ke maqām tak na pahuñche
Top Urdushayar.com