ik inqalāb-e-musalsal hai zindagī merī
ik iztirāb-e-mukammal hai ḳhāmushī merī
ye kis maqām pe pahuñchī ḳhud-āgahī merī
ki aaj aap ne mahsūs kī kamī merī
mizāj-e-husn ko bhaa.ī na bandagī merī
niyāz-e-ishq meñ shāmil rahī ḳhudī merī
muhīt-e-kaun-o-makāñ hai jamāl-e-parda-nashīñ
vo sāmne the jahāñ tak nazar ga.ī merī
hadīs-e-dil ba-zabān-e-nazar bhī kah na sakā
huzūr-e-husn baḌhī aur bebasī merī
guloñ kā zikr hī kyā gul to ḳhair gul hī haiñ
chaman ke ḳhaar uḌāte haiñ ab hañsī merī
pilā pilā ke nigāhoñ se bāda-e-taskīñ
baḌhā rahā hai koī aur tishnagī merī
tirī nigāh ne kyā de ke shād-kām kiyā
ki be-niyāz-e-tamannā hai zindagī merī
rulā.egī mirī yaad un ko muddatoñ 'zauqī'
kareñge bazm meñ mahsūs jab kamī merī