kuchh to ġham-ḳhāna-e-hastī meñ ujālā hotā
chāñd chamkā hai to ehsās bhī chamkā hotā
ā.īna-ḳhāna-e-ālam meñ khaḌā sochtā huuñ
maiñ na hotā to yahāñ kaun sā chehra hotā
ḳhud bhī gum ho ga.e ham apnī sadāoñ kī tarah
dasht-e-furqat meñ tujhe yuuñ na pukārā hotā
husn-e-iz.hār ne ra.anā.ī atā kī ġham ko
gul agar rañg na hotā to sharāra hotā
ham bhī ehsās kī tasvīr banā sakte the
kaash ham pe kabhī iz.hār kā dar vā hotā
fursat-e-shauq na dī karb-e-vafā ne ronā
koī e.ajāz to ham ne bhī dikhāyā hotā
ham ko pahchān ki ai bazm-e-chaman-zār-e-vajūd
ham na hote to tujhe kis ne sañvārā hotā
ek sūrat se huā naqsh-e-do-ālam ko faroġh
ā.īna TuuT na jaatā to tamāshā hotā
ham ne har ḳhvāb ko ta.abīr atā kī 'aslam'
varna mumkin thā ki har naqsh adhūrā hotā