Aslam Ansari

jab hamein izn tamasha hoga

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
jab hameñ izn tamāshā hogā
tū kahāñ anjuman-ārā hogā
ham na pahuñche sar-e-manzil to kyā
ham-safar koī to pahuñchā hogā
uḌtī hogī kahīñ ḳhushbū-e-ḳhayāl
gul-e-ma.anī kahīñ khiltā hogā
har gul-o-barg hai ik naqsh-e-qadam
kaun is raah se guzrā hogā
lab-e-tasvīr pe goyā hai suḳhan
koī sun le to tamāshā hogā
ab bhī gul-posh darīche ke qarīb
tū kisī soch meñ Duubā hogā
aaj kī shaam bhī vo sarv-e-jamīl
tere āñgan meñ lahaktā hogā
tū ne jab haath chhuḌāyā thā vo pal
tujh ko bhī yaad to aatā hogā
dil ye kahtā hai tujhī se miliye
maiñ ye kahtā huuñ ki phir kyā hogā
dasht-e-furqat meñ khaḌā sochtā huuñ
tū kahāñ anjuman-ārā hogā
Top Urdushayar.com