ik barg barg din kī ḳhabar chāhiye mujhe
maiñ shāḳh-e-shab-zada huuñ sahar chāhiye mujhe
merī talab dahakte alaav na the kabhī
ambār-e-ḳhas huuñ ek sharar chāhiye mujhe
kab tak sulagtī ret pe behis paḌā rahūñ
is gul-zamīñ kī samt safar chāhiye mujhe
sau baar jism-o-jāñ ko banānā paḌā savāl
is tajribe se ab to hazar chāhiye mujhe
vo rabt-e-dostī jise pā.inda kah sakeñ
miltī nahīñ ye chiiz magar chāhiye mujhe
mazmūn-e-āgahī huuñ bayāñ chāhtā huuñ maiñ
afsūn-e-be-asar huuñ asar chāhiye mujhe