Aslam Ansari

KHafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
ḳhafā na ho ki tirā husn hī kuchh aisā thā
maiñ tujh se pyaar na kartā to aur kyā kartā
Thahar ke sun to sahī ġham kī Dūbtī āvāz
palaT ke dekh to le manzar-e-shikast-e-vafā
tū ḳhvāb thā to mujhe niiñd se jagāyā kyuuñ
tū vahm thā to mire saath saath kyuuñ na chalā
kahāñ kahāñ liye phirtā kashāñ kashāñ mujh ko
lipaT gayā hai mire paañv se mirā saaya
havā chalī hai ki talvār sī chalī hai abhī
lahū meñ Duub gayā shāḳh shāḳh kā chehra
damak uThī haiñ jabīneñ mire ḳhayāloñ kī
lapak gayā hai kahīñ terī yaad kā sho.ala
kisī ko ḳhvāhish-e-dasht-e-vajūd hī kab thī
sunā fasāna-e-hastī to phir rahā na gayā
sunahrī rut ke kisī nīlgūñ tanāzur meñ
ḳhat-e-ufuq pe vo piilā gulāb phir na khilā
Top Urdushayar.com