Aslam Ansari

maine roka bhi nahin aur wo Thahra bhi nahin

Aslam Ansari

Multan, Punjab, Pakistan

1939
maiñ ne rokā bhī nahīñ aur vo Thahrā bhī nahīñ
hādisa kyā thā jise dil ne bhulāyā bhī nahīñ
jaane vāloñ ko kahāñ rok sakā hai koī
tum chale ho to koī rokne vaalā bhī nahīñ
kaun sā moḌ hai kyuuñ paañv pakaḌtī hai zamīñ
us kī bastī bhī nahīñ koī pukārā bhī nahīñ
be-niyāzī se sabhī qarya-e-jāñ se guzre
dekhtā koī nahīñ hai ki tamāshā bhī nahīñ
vo to sadiyoñ kā safar kar ke yahāñ pahuñchā thā
tū ne muñh pher ke jis shaḳhs ko dekhā bhī nahīñ
kis ko nairañgī-e-ayyām kī sūrat dikhlā.eñ
rañg uḌtā bhī nahīñ naqsh Thahartā bhī nahīñ
yā hamīñ ko na milā us kī haqīqat kā surāġh
yā sar-e-parda-e-ālam meñ koī thā bhī nahīñ
Top Urdushayar.com